“Tum khush ho?”
“Nahi hona chahiye?”
“Ye mere sawal ka jawab nahi hai.”
“Aapko nahi lagta iss sawal ke liye ab kafi der ho chuki hai, AVM? Parso meri shaadi hai. Aapke best friend se.”
“Ye bhi mere sawal ka jawab nahi hai.”
Her fingers brushed against his, holding her rooted in her place. As her gaze slowly lifted at him, she caught his eyes already fixed on her.
“Shaadi ka mandap hai. Koi exam nahi jo dil na bhi ho to bhi usme baithna hi padega.
“Maasi ki bohot ummede hai iss rishte se. Main nahi tod paaungi…”
“Apni khwahisho se samjhota kar paogi?”
“Pata nahi.”
“Ishqi,” he rushed forward, catching up with her speed as she resumed walking, “mujhe tumse kuch -“
“Mat kahiye, AVM. Aap bhi jaante hai ye galat hai.”
“Main jaanta hoon par ye… ye dil maanta nahi.”
“Manana to padega, kyunki ye… nahi ho sakta.”
They sauntered, their steps oddly in sync as if they were always meant to walk together.
“Agar tum Mayank ke saath khush reh paaogi to sab maan lunga lekin…”
Her curious eyes stuck at him, not liking the sudden pause. “Lekin?”
“Lekin agar nahi… to tumhe ye shaadi nahi karne dunga.”
“Aap jaante hai aap kya keh rahe hai? Iss se -“
“Mere kai rishte daav par lag jayenge, jaanta hoon par shayad tum nahi jaanti, mere kisi bhi rishte se badhkar mere liye… tumhari khushi hai. Isliye fir puch raha hoon… tum khush ho?”
She chuckled, concealing the thin layer of tears in her eyes.
“Aap jaante hai, AVM… mere liye aap wo khubsurat khwab hai jo sirf meri aankhon me aur shayad… mere dil me reh sakta hai. Meri zindagi me nahi. Kyunki khwab… khwab hote hai, AVM. Wo pure nahi hote… isiliye to khwab hote hai.”
Khwab
hKbwab
Hote
Hai!
💔
This is a random piece of fiction. Absolute imagination. Kind of a random mini tale based on the picture on the characters named Ishqi and Aahan from the show Ishk Par Zor Nahi.Â