Saath Humesha Hai- Ishk Par Zor Nahi

“Na to dard mein khudko dubane se wo mitata hai, AVM aur na hi uske qareeb jaane se wo humesha chubhta hai… dard hai, AVM koi pencil se banayi drawing nahi jo aap distractions ke eraser se mitane ki koshish karenge aur wo mit jayega.”

“To kya karu main? Paagal ho jau? Kyunki ye to ab bardasht ke bahar hai. Mujhe har roz unki yaad aati hai. Na to unka chehra aankho ke aage se hatata hai na unki aawaz kaano se jaati hai. Har raat bas unhi ka khayal… unhi ki yaadein… Main karu to karu kya, Ishqi? Jab apno ko dur jana hi hota hai to humare paas aate kyun hai?”

“Zindagi ka khel hai, AVM. Hume sirf khelna hota hai. Kiska khel kab khatm hoga ye humare haath mein kaha hota hai?”

“Ghatiya khel hai, Ishqi. Ghatiya khel hai.”

“Ho sakta hai aur shayad nahi bhi!” She placed her hand on his cheek, wiping the teardrop that escaped his eye with her thumb.

“Mayank keh raha tha ek saal ho gaya Maa ko gaye hue. Aur kitna waqt lagega mujhe iss sab se bahar aane mein…”

She weakly smiled before taking his hand in her protective hold. “Logo ka kya hai, AVM. Koi kahega aap ro mat. Koi kahega aap haso mat. Koi puchega – ‘ab tak nahi ubhar paaye?’ Koi puchega – ‘tum itni jaldi unko bhul bhi gaye?’. Logo ka kya hai, AVM…”

He slapped his palms on his face when the reality started suffocated him.

“Pehli baat to ye hai, AVM ki aapko logo ki baat sunkar bhi ansuni karna seekhna hoga kyunki wo to bolenge. Hum kuch nahi kar sakte. Dusri baat, aapko ye samajhna padega ki aapki Maa ko miss karna galat nahi hai. Teesri baat, aapko ye maanna padega ki har thode waqt mein yaadein wapas aayengi aur jab wo aayengi to khud ko sambhalna musbkil hoga. Chauthi baat, aapka dard aapka hai aur aapko iss se bahar nikalne mein jitna waqt lage aapko khud ko dena hoga. Aur aakhiri baat… ek din aayega jab aap aapki Maa ko yaad karke muskura payenge. Unki kami fir bhi rahegi lekin aapke chehre ki muskurahat ye batayegi ki jitna bhi waqt aapko unke saath mila, wo aapke liye ek tohfa tha jo aapse kabhi koi nahi cheen sakta aur bhale hi wo aaj humare beech na ho lekin saath… humesha hai…”

Saath
….
Humesha
Hai!

💜

This is a random piece of fiction. Absolute imagination. Kind of a random mini tale based on the picture on the characters named Ishqi and Aahan from the show Ishk Par Zor Nahi. 

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x