“Aa-aap?” Her drowsy eyes snapped open when she sensed his presence and the sight at the front confirmed what her heart had already conveyed. “Aap… gaye nahi?”
“Tumne jaane nahi diya!”
Her eyes widened before they looked away. “Mat-lab? Maine… maine kya kiya?”
“Tum neend mein thi. Main nikalne hi wala tha jab tumne kaha… kya main ruk nahi sakta? Kyun main… ruk nahi sakta? Tumne kaha… tum mujhe miss karti ho. ‘Hume’ miss karti ho.” He paused, letting her have the moment he knew she needed. “Tum nahi chaahti thi ke main jaau to main… nahi ja paya!’
“Aap jhooth bol rahe hai, AVM. Main ye sab keh hi nahi sakti.” Her defense jumped in.
“Main jhooth nahi bolta, Ishqi aur ye tum acche se jaanti ho. Aur tum… ye sab keh sakti ho aur ye bhi tum acche se jaanti ho. Do din se nahi jaante hai hum ek dusre ko. Do saal ho chuke hai aur main tumhe kitna janta hoon ispe debate shuru ki to kaun harega ye bhi tum acche se jaanti ho!”
She slammed the pillow on her face. What the heck did she say to him last night?
He gently pulled the pillow down from her face. “Itna sochne ki zaroorat nahi hai! Tum ye chaai pi lo. Fir main nikalta hoon”
Her unblinking stare at him continued till he made her hold the cup of tea. “Jaana hi tha ruke kyun?”
His lips curled up into a smile. “Kal ruka kyunki tumne roka aur aaj nahi rukunga kyunki jaanta hoon tum… rokogi nahi!”
“Kyun roku? Mere hote to rokti. Lekin aap to-“
“Main aaj bhi tumhara hi hoon bas tum dekh nahi pa rahi ho. Lekin kya mehsoos bhi nahi kar pa rahi ho? Breakup kya keh ke kiya tha, Ishqi? Yaad hai? Ke hum dono ek dusre se dur rehkar zada khush rahenge. 3 mahine ho gaye. Ab batao. Ho tum khush? Main to nahi hoon.”
Placing his palm on her cheek, he made her look at him. “Jab main nahi hota hoon to meri photo ko dekhti ho. Ab main hoon to mujhe nahi dekh rahi ho. Aur kitni taqleef deni hai khudko? Aur kitni, Ishqi?
Tum kyun nahi samajhti ho ke main… samajhta hoon, Ishqi? Hum saath mein sab handle kar sakte hai. Main tumhe kabhi itna yaqeen bhi nahi dila paya?”
Tum ab bhi nahi rokogi, pata hai mujhe lekin main humesha rahunga ye pata hona chahiye tumhe!”
💜
This is a random piece of fiction. Absolute imagination. Kind of a random mini tale based on the picture on the characters named Ishqi and Aahan from the show Ishk Par Zor Nahi.
Tugs at the heart strings ! 💘🥺❤️🔥