Aap Bas Dosti Mein Yaqeen Rakhiye – Ishk Par Zor Nahi

“Aap aise… yaha har weekend kyun aate hai? I mean, do mahino pehle jab aap yaha pehli baar aaye the… erm apni Maa ke liye… apni Maa ke liye phool lene aaye the, right? Uske baad se aap har Saturday… iss waqt aate hai jab ki meri shop to shaam me hi band ho jati hai.”

“Don’t you think you are a little late with this question?”

“Erm…”

“Main har din sochta tha ke tum kabhi puchti kyun nahi ho ke main yaha kyun aata hoon. Tumhe kabhi odd nahi laga mere saath aise itni der raat tak baithne ke liye?”

“Honestly… no! This might sound weird but jab aap pehli baar aaye the aur aap apni Maa ke liye phool choose kar rahe the… aapka chehra aaina ban chuka tha. Aapke emotions aapke chehre par the aur wo sacche the. Aap kabhi mujhe kisi bhi tarah se harm nahi karenge ye samajhne jitne sacche!”

“Tum har kisi par aise yaqeen kar leti ho? Darr nahi lagta agar kabhi yaqeen toot gaya to?”

“Toot gaya to toot gaya. Tootne ke dar se log jodna thodi chhod sakte hai!”

“Kyun nahi chhod sakte? Maine chhod diya hai!”

A moment of silence dominated their conversation as she held his gaze until he looked away.

“Ye to jhooth hua na, AVM? Agar aapne chhoda hota to aap abhi yaha nahi hote!”

He played with her scarf that he had quietly taken from her hand.

“Main aapko hardly jaanti hoon. Isliye kuch keh kar aapko hurt nahi karna chahti lekin, AVM… kaante chubhenge iss darr se phoolon se hi duri bana lenge to phoolon ki khushboon bhi to miss kar denge na?”

“Phool aur kaante… kaisa ajeeb combination hota hai na. Ek… jo sirf khushi deta hai aur ek , sirf dard.”

“AVM, ek to aap baatein karte nahi aur aaj kar rahe hai to itni emotional baatein?”

“Main aisa hi hoon, Ishqi. Tum nahi chahti main ruku to main chala jaunga aur phir kabhi wapas nahi aaunga!”

“Are kyun? Mujhe to laga hum dost hai. Thode… ajeeb wale dost jo baatein… thooodiii… kam karte hai par chalega. Mujhe chalega. Aap soch lijiye. Iss dosti ki khushboo ke sath ho sakta hai kabhi kaante bhi chubhe. Aapko chalega?”

“Pata nahi, Ishqi!”

“Aap bas dosti me yaqeen rakhiye. Kaante chubh bhi gaye to main nikal bhi dungi, nikalna sikha bhi dungi aur dard se ubharna bhi sikha dungi!”

πŸ’œ

This is a random piece of fiction. Absolute imagination. Kind of a random mini tale based on the picture on the characters named Ishqi and Aahan from the show Ishk Par Zor Nahi.

Subscribe
Notify of
guest
4 Comments
Most Voted
Newest Oldest
Inline Feedbacks
View all comments
Vishal R
Vishal R
1 year ago

Lovely

Shagun Grover
Shagun Grover
1 year ago

I don’t know why I felt like crying after reading this! πŸ₯ΊπŸ₯ΊπŸ₯ΊπŸ₯ΊπŸ’œ

Shagun Grover
Shagun Grover
10 months ago

So beautifully written 🩡🩡🩡🩡🩡🩡🩡

4
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x