Koi Farq Nahi Padta – Ishk Par Zor Nahi

“Ab bhul bhi jaaiye. Jo hua so hua. Thik hai na, Ahaan. Har kisi ka apna nazariya hota hai! Aapke friends ko nahi acchi lagi main. To kya ho gaya? Ab har koi har kisi ko pasand to nahi kar sakta na?”

“A. They are not my friends anymore. In fact, kabhi the bhi nahi. College mates aur friends same nahi hote, Ishqi! And B. Kisi ko neecha dikhana kisi ka nazariya nahi hota! Use ghatiya soch kehte hai jo main bardasht nahi karne wala! Hume jana hi nahi chahiye tha reunion party mein!”

“Are. Are,” she circled her hands around him, pulling him to herself, “bas. Aap faltu me itna soch rahe hai, Ahaan. Unki kisi bhi baaton ka mujhe bilkul bura nahi laga! Sach mein!”

“Mujhe laga aur mere liye utna kaafi hai!”

She sighed at the sight of her infuriated husband who refused to calm down, even in her hold which gave away how brutally disturbed he was.

“I can’t stand anyone disrespecting you. Neither in front of me nor behind me. Why the heck did you drag me from there? Mujhe batana tha unhe ke unke so called class me aur tumhare class me kya difference hai!”

“Stop it, Ahaan! Aur kitna hurt karenge khud ko wahi sab yaad kar kar ke?” She placed her palm on his lips, shushing him as his unsettled heart went on blabbering.

“Pehli baat to… mujhe pata hai main kya hoon, kaun hoon and most importantly… kyun hoon jo bhi hoon. I’ve never been someone to seek validation from anyone, AVM. To nahi fark padta mujhe… kaun mere baare me kya sochta hai… kya bolta hai. Aapko pad raha raha hai aur bura bhi lag raha hai jo main samajhti hoon lekin…

Lekin, AVM, bura lagna chahiye nahi agar aap mujhse puche to.

Long as you know what you are, it doesn’t matter what the world thinks about you!

Logo ke kehne se agar hum wo ban jate to baat hi kya hoti!

Self-love seekhaya nahi Harvard mein? Koi nahi. Main seekha dungi!

Jab tak hume pata hai, hum kya hai… kisi aur ko pata ho na ho… koi farq nahi padta!”

▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Koi
Farq
Nahi
Padta!

💜

This is a random piece of fiction. Absolute imagination. Kind of a random mini tale based on the picture on the characters named Ishqi and Aahan from the show Ishk Par Zor Nahi. 

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x