Wo Bhi Kabhi Nahi Sochenge – Ishk Par Zor Nahi

“Batao, kya zindagi hai meri, hospital bed par lete lete bhi gyaan baantna pad raha hai! Har AVM ke life mein ek Ishqi honi hi chahiye, nahi, AVM?”

His unnerving silence hurt more than her injured head. It would have been better had the glass that accidentally fell because of her wouldn’t have because it would have allowed her distraught husband to sleep for a bit longer. She would have liked his sleeping face over his guilty one.

“Har AVM ki life mein ek Ishqi honi chahiye ya nahi pata nahi, lekin har Ishqi ki life koi AVM nahi hona chahiye. Nahi to aise hi hurt hoti rahegi!”

“Delusional hone ki bhi koi hadd hoti hai, AVM. Bottle mere sar par kisne maari? Aapka naam Mayank hai? To aapki wajah se kaise hoon main yaha?”

“Mayank kiske sar par bottle maarne wala tha?”

“Aap baat badal rahe hai.”

“Bilkul nahi. Tum mujhse ilzaam nahi hata sakti, Ishqi. Tum kyun beech mein aayi?”

“Because I saw that he was about to hit you. My first instinct was to protect you. I got hurt in the process, AVM. I didn’t invite it.”

“Mujhe lagne de sakti thi, haan ya na?”

“Aapki jagah main hoti aur meri jagah aap to kya aap mujhe lagne dete, haan ya na?”

Silence lengthened between them as he sat there, holding her hand.

“Mujhe samajh hi nahi aa raha hai, aap kyun guilty feel kar rahe hai. Waise bhi Mayank ne jo kiya meri wajah se kiya. Maine Sonu ke liye jo use thappad mara tha uss wajah se kiya to kya main khud ko blame karti baithu?”

“Tumne jo kiya, sahi kiya.”

“Exactly, AVM, exactly,” she said, patting his hand, “maine jo kiya… sahi kiya.”

He stared at her, knowing she wasn’t talking about slapping Mayank but taking the brutal hit upon herself that Mayank had aimed at him.

“Pyaar ki ek khaasiyat hoti hai, AVM. Wo sochne ka kaam khatm kar deta hai. Especially aisi situations mein jaha aapke apne problem mein hote hai. Naturally aapka first instinct hota hai… unhe bachana. Aap sochte nahi baithte ho kya hoga agar unhe bachate bachate mujheisha lag gayi kyunki, AVM… wo bhi kabhi nahi sochenge agar baat aapki hogi.”

Wo
Bhi
Kabhi
Nahi
Sochenge.

💜

This is a random piece of fiction. Absolute imagination. Kind of a random mini tale based on the picture on the characters named Ishqi and Aahan, fondly addressed as IshqAan from the show Ishk Par Zor Nahi that starred Param Singh and Akshita Mudgal as protagonists. 

Subscribe
Notify of
guest
1 Comment
Most Voted
Newest Oldest
Inline Feedbacks
View all comments
M.
M.
8 months ago

Loveeee this Adoraaaa 🥹❤️

1
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x